saawan...........ساون
SAAWAN ka mahina suru ho chukka tha aur aaj sham se hi aashman me surmayi badalo ne dera daal liya tha. ..........kali kali ghatayen aur tej hawayen is hill station ke mausam ko behad khusnuma bana rhi thi
...............ekdam andheraa chha gaya tha aur aisa lag rha tha kisi bhi pal aasaman se sawan ki pahli fuhaar baras padegi.
Aise hi kale badal Suman ke man par bhi chhaye huye the .......wo bahut paresan thi......sham ke 7.30 baj gaye the aur Nandita abhi tak ghar nhi aayi thi.........Nandita suman ki mausi thi jinhe wo maa kahti thi .......suman ke maa baap ke bachpan me hi gujar jane ke bad unhone hi suman ko pala tha......wo pas ke ek school me padhati thi aur aam taur par sham ke 4.30 tak aa jati thi..
unka phone bhi band jaa rha tha......suman ne ek bar socha ki khud jakar pta lagaye lekin andhere me nikalne ke liye himmat nhi juta pa rhi thi.
Nandita ne shadi nhi ki thi............college days me huyi muhabbat aur us muhabbat me mili bewafayi......itni si hi thi nandita ki kahani....ek bar dhokha khane ke baad dubara soch nhi payi shadi aur pariwar ke bare me...............aur fir jab suman ke mummy papa nanhi si suman uski godi me dalkar chale gaye to usne kisi ki biwi ban ne ki jagah apni masoom bhanji ki maa banana jyada pasand kiya.
Suman apne nam ke anuroop hi thi bhi bilkul khilte gulab jaisi ...........gulabi rangat , bholi soorat ,lambe kale baal aur gahri kali aankhe.........masoomiyat kisi chhoti bachchi ki jaise.....Nnaditaa ko kisi bewafa ke liye raat-raat bhar rote dekha tha usne .......aur ye rona uske man me baith gaya tha......
“koi pyar nhi, koi shadi nhi .......sab dhokha hai ” ......yhi soch liya tha usne.........lekin kismat bhi to kuchh hoti hai.
Ek jamana tha jab sawan ka ye mausam, ye kali ghatayen , ye rimjhim fuharen suman ko bahut pasand thi......jab uski mummy - papa the.......wo hasti ,gaati,chahkati ; Lekin fir mummy papa chhoti si suman ko chhod kar chale gaye........suman udas hoti gayi.............saawan aata lekin ab use khusi nhi hoti.......uske man me sawan ki jagah ek ujadepan ne le liya...
“ab hamaare ghar pahle jaisa sawan kyu nhi aata??? ... maa !! kab aayega wo pahle jaisa , khusiyon wala saawan ????....” mummy papa ke jane ke baad chhoti si suman barish ke mausam me aksar nandita se puchhti , aaj is sawan ke mausam ko dekhkar fir uske man me yhi sawal aa rha tha.......... ye saawan use pahle jaisa nhi lag rha tha.........ye saawan bahut udas tha.
Suman apni socho ke bhawar me doobi huyi thi ki tabhi ek auto riksha aakar ruka ......ek naujawan bahar nikla,...suman ne sawaliya najro se use dekha hi tha ki usne apne hath ke sahare se Nandita ko bahar nikala ..................unke mathe par pattiyan bandhi thi .....
“kya hua mammaa ?” suman badhawas si unki or badhi ,uski aankho ke aansu aur tej ho gaye.....
Dusri taraf se jakar nandita ko pakda aur dono unhe ghar ke andar le aaye.
Suman ne ek uchatati nazar us ajnabi par dali..... achchha lamba , majboot kad kathi , black jacket aur blue jeans me wo bahut smart lag rha tha..........dekhne se lag rha tha ki kisi achchi,rayish family se hai.....lekin ek ajeeb si nagawari thi uske chehre par,,kiski vajah se , kaun jane???
“mai aapka washroom use kar sakta hu kya,,,,,,,actually wo bahar barish ho rhi to............jaise hi band hoti hai mai chala jaunga............” thodi der bad naujwan ne chai ka cup rakhte huye puchha.
“jaroor beta......yha se upar chale jao.......room me hi attached washroom hai.........” nandita ne bade apne pan se kaha.......naujwan halka sa muskuraya aur upar chala gya.
Nandita ne uske wha se jate hi suman ko sari baat batayi.......school se aate samay road cross karte huye ek auto se chhota sa accident ho gya tha aur us auto me baitha ye shakhs unhe hospital le gya aur fir unke pair ki moch ki vajah se unhe ghar tak chhodane aaya tha.
“maa??? Kisi ko bhi ghar le aayin aap...jane kaisa ho........chor-uchchakaa...mujhe to shakl se hi gunda lagta hai............” suman nhi uske man ka dar bol rha tha, uske man me mardo ke liye jo nafarat aur avishwas tha wo bol rha tha.
“ hain???? Kaun se angle se chor lag rha hai wo..........?????” nandita ne hairat se kaha.
tabhi wo niche aata dikha aur dono chup ho gayi.... barish dheere dheere tej hoti ja rhi thi. ............aur barish ke sath sath suman ke man ka bhay bhi badh rha tha.
Barish ab bahut tej ho chuki thi aur nandita ne us ladke ko barish me jane nhi diya........ wo chhat par bane room me tha is samay.
“maa??? kaise aap ek ajnabi ko apne ghar me rahne ko allow kar sakti hain???? Aap janti hain na mard kaise hote hain......... ?..” suman ne jaise unhe samjhaya ho.
“beta maine duniyaa dekhi hai..dhokha bhi khaya hai.... lekin yakeen karo mera...ye dil ka bura nhi hai.....Abhimanyu naam hai ..kuchh kam se aaya hai is shahar me.....jitni der mere saath rha aur jo baten ki, jis tarah se ki........mera dil kahta hai ki ye auro ke jaisa nhi hai........” Nandita ne use convince karna chaha.
“mamma, aap janti ho na ki dil jhooth bolta hai...aapke dil ne aapse hmesa jhooth bola , tab bhi, aur aaj bhi.......aap kaise bhool sakti hain......pahle bhi to ek baar bharosa kiya tha ek ajnabi par aapne......” suman ko yakeen kyu hota bhala.......
“suman ! us bharose me aur is yakeen me antar hai jaan.....wo ek 19 sal ki Nandita thi jo pahle pyaar ki dhun me andhi thi.........wo nayi umar ke pahle pyar ka andha yakeen tha ...lekin ye ek maa ke dil ka yakeen hai....haan suman, ye mujhe bête jaisa lga rha hai...mujhe mere Sameer jaisa lag rha hai.....dekhna tu ye bura nhi hoga.” Nandita ne suman ka hath apne haath me le liya aur apne aankho se chhalak aaye do ansuo ko dupaatte ke pallu se saaf kar liya.
Sameer !!!!!!! Nandita ke bewafa pyar ki nishani ....uska beta......bade pyar se sincha tha us nanhe se paudhe ko nandita ne.....lekin wo ped jab tak fal dene layak hua ek road accident me wo bhi inka sath chhod chala...............aur uske baad se dono ne kisi "khusiyon wale sawaan” ki umeed karna hi chhod diya tha.
Suman apne aansuo ko rokte huye chuchap uthkar kitchen me chali gayi.
““Rab jee ! Is baar meri maa ka yakeen mat todna ...........pleasssssss” bas itna hi nikla uske dil se.
Abhimanyu ko aaye 2 month ho chuke the....use is shahar me rukna tha ....aur wo as a paying guest rahne lga tha Nandita ke ghar....Nanditaa sage bete jaisa maanti thi use.
Bahar se dekhne par nandita aur suman ki zindagi me koi kami nhi lagti........lekin wo dono khus thi nhi ,bas kosis karti thi khus dikhne ki........ek khalipan tha unki zindagi me , ek dar tha.....kisi majboot sahaare ki kami thi..........rat ko jara si aahat hoti aur dono dar kar jag jati.... ghar me akeli aurat hone ka ahsaas hi bahut tha unhe darane ke liye.
Abhi ke aane se se bahut kuchh badal gya tha.......ab kabhi rat ko koi aahat hoti to sabse pahle abhi uthkar aata , aur fir jaate-jaate bol jata “sab thik hai , so jaiye aap log.......” ; uska itna kahna unke dil ke har dar ko khatm kar deta.......kisi ki gandi nigahen suman ki or uthati to Abhi ka majboot sayaa uski aankho ke samne aa jata aur suman khud ko mahfooz mahsoos karti.....Dari dari si rahne wali suman ab chahkane lagi thi, ab ukse paas bhi koi tha jiska bharosa tha use, koi uske liye bhi ladne wala tha , koi uska bhi tha.
Suman Abhi ko pasand karne lagi thi .........use abhi bahut seedha, sachcha aur sabse alag lagta tha....... ......kabhi suman ki taraf aankh uthakar dekhta bhi nhi tha....Ek majboot sahaare ke hone ka ahsaas kitna jaroori hota hai , ab suman ko samajh me aane laga tha.....uska atmaad aur aitbaar wapas aane laga tha.
Aaj Sunday tha ......aur aaj suman ne bade laad se apne liye halwa aur poori banwaya tha.......... aaj Abhi bhi ghar par hi tha .......Nandita ke kahne par wo upar Abhi ko bulane chali gayi .............
Suman aaj behad khus thi........aaj sham ko sabka bahar ghumne jane ka program tha ........aur usne socha tha ki aaj wo abhi se apne muhabbat ka ijahaar kar degi.......use jyada nhi pta tha Abhi ke bare me lekin abhi uske dil ko achchha lagne laga tha aur is bar wo sirf apne dil ki baat sunne wali thi.
khusi khusi kuchh gungunate huye wo Abhi ke room ke bahar pahuchi aur darwaze par knock karne hi wali thi ki ek behad sard aur khaufnak aawaz uske kano me padi...........
“ Nhi, Gafoor ..........itni aasan maut nhi dunga use mai, use tadpa-tadpaa kar marunga............use bhi to pta chale ki bewafayi ki saja kitni bhayanak hoti hai........kitna dard hota hai......” andar se aa rhi ye aawaz masoom suman ko buri tarah daraa rahi thi...ye kaun tha ????.....abhi to na tha !!!!!!.
suman ne dabe paav khidki se parda hataya aur andar jhankne ki kosis ki............room ki lights off thi ......roshndan se chhan kar bahut halki roshni aa rhi thi...... aur dher sara cigrrete ka dhua bhara hua tha ...room ke bicho bich kaan se phone lagaye chair par Abhimanyu baith hua tha !!! ....jee ABHI hi tha wo !!!! ...kam se kam shakl to abhi ki hi thi .
“gafoor, til-til karke tadapegi wo........til-til karke........maut to bahut aasan hai ....abhi dekha hi kya usne .........” suman behad dar gayi ....uska dil baitha ja rha tha.
“kya socha tha tumhe, kya nikle tum ” suman ka dil buri tarah toot gaya tha,,,,uska dimag sunn ho gya tha bilkul......wo apni pahli muhabbat ke adhure hone ka matam bhi nhi mna payi thi ki ek majboot hath ne uske muh ko kisi dhakkan ki tarah se band kar liya....usne suman ko dusre hath se pakda aur ghasheetate huye room ke andar le aaya.
Suman ko abhi ki shakl me ye koi vahshi janwar lag rha tha...laal laal aankho se aise ghoor rha tha mano kha jayega....
“bol kya suna tune............meri jasoosi kar rhi thi.........Rajeshwari ki jasoos hai ????????? .......bol dena use koi nhi bacha sakta........koi bhi nhi.........” suman buri tarah ro rhi thi....balo se pakad kar ghaseete jane se use bahut dard hua tha aur us se jayada dard abhi ka yah vahshi roop dekhkar ho rha tha.
“Abhi mai !!! ,tumhari suman........plzzzzz..........abhi......!!!!!! ” suman itna hi bol payi ki Abhi ka jordar thappad uske galo par pada.........aur fir se usne suman ka muh daboch liya apne hatho se.......
“nhiiiiiiiiiii!!!!!!!!! Mera koi nhi hai...mujhse rishta mat jod kamini..........tum aurate bewafaa hoti ho....sirf dhokha deti ho......tu bhi kisi ko dhokha hi degi......." Abhi ne ek aur thappad suman ko jad diya...
Abhi jane kya kya bake ja rha tha......galiya de rha tha.....aur uska hath abhi bhi suman ke muh par jamaa hua tha.....
Kuchh hi minutes beete honge ki abhi ko mano hosh aaya....vajah ye thi ki suman ka pratirodh aur chhootane ka prayas lagbhag ruk gya tha.........uska badan dheela pad rha tha.....abhi ke hath ko apne muh se chhudane ki kosis karni usne chhod di thi.....sare ang sithil ho rhe the uske.......... aur aankhe band ho gayi thi..
Abhi ko mano break lag gya......ekdam chup ......!!! Apne hath ko uske muh se jaldi se hta liya........jaldi se jameen par baith gya aur uska sar apni godi me rakhkar chupchap uske sundar mukhde ko takne lagaa........kuchh pal yuhi taktaa raha.....fir dheere se uske galo ko thapthapaya........
“suman...suman...!!” Abhi jaise sadme ki halat me tha,....intkaam se bhari wo laal laal khunkhar aankhe aansuo se bhar gayi thi.
“suman ??? ...utho na suman..suman pleasssss ......” Abhi bar bar uske galo ko thapki de kar yhi bol raha tha........paas rakhi paani ki botal se uske muh par chheete mari..........lekin suman ne koi harkat nhi ki.....
“suman !!!!!!! nhiiii.........!!!!! har baar nhi haarunga mai..............is baar nhi..........plzzzzzzzzz.......uthooooooo....” suman ko gale lagakar buri tarah se rone laga wo “vahshi”.
Suman ko baho me uthaye teji se niche ki or bhaga ............aansu uski palko se girte jaa rhe tha.
Aaj teen din baad suman ko hosh aaya tha........aankhe khola to khud ko apne kamre me paya....nanditaa paas me hi baithi thi.
“maa” itna hi bola usne aur jor jor se unse lipat kar rone lagi..........darwaje par khada Abhi aaj jindagi me pahli baar khud ko galiyaa de rha tha.......wo kisi mujrim ki tarah sar jhukaye bahar chala gya.
suman ne nandita ko kuchh nhi bataya........siway iske ki use achanak chakkar aa gya aur wo behosh ho gyi thi................ sham ke 6 baj gaye the aur Suman chuchap apne kamre me leti chhat ko tak rhi thi.....
“suman ” Abhi ki aawaz uske kano me padi..
Suman ne dekha aur haath jod diye uske saamne.....
“please mujhe aur meri maa ko kuchh mat karna...dekho maine kuchh nhi bataya unhe ..please hme mat marna..........please........” suman ek bar fir rone lagi.
“nhi suman mai !! ..........plzz meri baat suno.........”abhi ne dheere se uski or hath badhaya....
“nhi!!!!!!...plzzzzzzzzzzzz ..... door raho mujhse..........”suman dar ke mare ek kone me dubak gayi.
“suman mai tum logo ko koi nuksaan nhi pahuchaunga........wo ..... ..........”abhi ki baat poori nhi ho payi thi ........is baar suman ki aansuo me doobi aawaz use bhi rula gayi...............
“ nuksaan?????????..aap jante hain nuksaan kya hota hai ?????? ....ab kaun sa nuksaan ??......aapne ek maa ka dil tod diya..........aapko apna rahnumaa samjha hmne......bharosa tod diya hmara .....is se bda nukssan kya hoga........mardo ki jaat se nafarat karne wali mai , aapse muhabbat kar baithi thi......haan !! mai aapse be-intahaa muhabbat karne lagi thi Abhi .......mera nuksaan nhi hua ? ......bataiye.........ab kabhi kisi par bharosa kar paungi ????????.......ab kaun sa nuksaan bacha hai....??????......” suman siskiyo ke bich ghuti ghuti si aawaz me bol rhi thi.......abhi chuchap sun raha tha..
“nuksaan to aisa kiya hai aapne jiski bharpayi kabhi nhi ho payegi ABHIMANYU JEE.......aap kya hai kaun hai , mujhe koi matalab nhi....bas ek ahsaan kijiye.............plzzzzz yha se chale jaiye ................... plzzzzzzzz............”suman ne ek bar fir se uske saamne hath jod diye.
Abhi kuchh nhi bola...chupchap utha , ek pyar bhari nazar us par dali aur bahar nikal gaya........
Rat ko khana khaya nhi gaya suman se......thoda fever bhi tha........ ..der raat tak roti rahi aur fir jane bhor ke kis pahar me aankh lag gayiiii.
“Suman!!! ......uth...........” Nandita ke teesri bar bulane par suman ne aankhe kholi..........
“suman......Abhi chala gya ” bahut tadap thi unki aawaz me ..
suman ne jhat se apne upar pada blanket hataya,,,,,kuchh pal unki aankho me beyakeeni se dekhti rahi fir teji se upar ki or bhagi....Ek jhatke se darwaza khola...... behad soona sa lag rha tha wo kamra..... ........suman aage badhi aur abhi ki chair, table aur uski use ki har chij ko chhune lagi.....aankho se aansu bah rhe the..........achanak uski nazar ek lifafe par padi.........usne kaanpte hatho se use utha liya.........
upar likha tha........... “SORRY SUMAN!”
suman ne rote rote use khola ............
“Dear suman,
mai janta hu ki vahshipanaa kiya aapke sath maine.....haan , shayad vahshi hi ban gya hu mai........... lekin mai aisa nhi tha suman..........waqt aur halat se ladte ladte ,unke thapedo ko sahte sahte mere andar ka insaan mar gya.......yha aakar ,aap sab ke sath rahkar mujhe ahsaas hua ki nafarat kitni bhi shiddat se ki jaye, muhabbat se haar hi jati hai.........kash mai is layak hota ki is jannat me aapke sath ek nayi duniya basa pata....lekin nhiii...mere andar itna vish bhar gya hai ki jiske sath rahuga usi ko das lunga......mai ab kisi ke chaahat ke layak nhi raha..
Ek request hai...nhi ye nhi ki mujhe baddua mat dijiyega !! ....uska to haqdaar hu mai, .......ye ki khud ko sajaa mat diiyega......mere liye nhi plzzz.................aapke aansuo ke kabil nhi hu mai .
Hmesa Khus Rahiye !!
ALWIDA.
Aapka Badnaseeb- ABHI.
“tum bhi akela chhod gaye ?? ” Suman ne letter padha , bas itna hi boli aur phoot phoot kar rone lagi.
Abhi wapas apni purani duniya me laut aaya tha...ek aalishan bangle me baitha hath me pakdi huyi tasweer ko dekh rha tha......kuchh der takataa raha... tasweer me ek chhota bachcha, ek aadmi aur ek aurat ekdusre se chipke huye khade the.
“ I m sorry mamma !! ........mai aapka achcha beta nhi ban paya ....lekin mai sab thik kar dunga...mai ab achcha beta banunga...i promise mamma...” kisi chhote bachche ki tarah bol raha tha abhi aur uski aankho me ek nishchay nazar aa rha tha.
Wo pichhle 4 ghante se drive kar rha tha ......aaj us shakhs se milne ja rha tha jiski vajah se wo ek vahshi ban gya.....RAJESHWARI DEVI ! uski sauteli maa ! ...............ateet ke panne uski aankho ke samne khulne lage........
Uski maa ki maut ke baad abhi ke liye ek nayi maa laaye uske papa.....is maa se ‘maa ka pyar’ to kabhi mila nhi use, haa dar jaroor lagta tha is maa se....fir kuchh dino bad hi rato ko aksar maa aur papa ke ladayi ki aawazen aane lagi............ papa ke na rahne par jo uncle mummy se milne aate hain wo papa ko pasand nhi hain....ye samjh gya tha Abhi.......ye ladayiyaan badhati jaa rhi thi , aur sath sath Abhi ka dar bhi.
aur fir Abhi ka dar akhir sach sabit hua......... ek din Abhi ko bich class se bulakar ghar laya gya...mummy ki tarah hi uske papa bhi use chhodakar ja chuke the........abhi paglo ki tarah papa se lipatakar ro rha tha..........lekin aaj papa ko uspar dayaa nhi aa rhi thi............na papa use chup kra rhe the aur na hi kuchh bol rhe the.........papa chale gaye aur abhi patthar ka ho gya.......nayi maa ko khuli chhoot mil gayi papa ke jaane se ..... ab be rok tok wo jo chahti karti.....abhi ko aksar lagta ki ab papa ke baad uski bari hai, aur nayi maa use bhi nhi chhodegi.
Aur Ek din fir se uska shaq yakeen me badal gaya jab usne un uncle ko maa se kahate suna ki jald hi is sanpole ka bhi intzaam karta hu..........Abhi khoob roya us rat aur wo aakhiri baar tha jab Abhi roya tha .........masoom Abhi ki masoomiya khatm ho rhi thi..........ab use rona nhi tha , khoon ke aansu rulana tha.
Wo masoom Abhi usi raat ghar aur shahar chhodakar bhag gya......dar-dar bhatakta raha ....fir kuchh kismat ne sath diya aur kuchh uske tej dimaag ne.......ek lambi gumnaami ki zindagi jee thi usne,ek mukam banaya apana...... aur ab wapas aaya tha apne upar huye har zurm ka hisaab lene.
Pyar-muhabbat Abhi ne kabhi jaana hi nhi....ladkiyo ke emotions se khelna aur fir unhe pyar me tadpata chhod dena.... shauk ban gya tha uska........ jab uske pyar me deewani koi ladki tadpati thi, to usko bada sukoon milta ,, mano apne baap ke sath huyi bewafayi ki sajaa deta tha wo.
“suman ne bhi to muhabbat ka ijahaar kiya, wo bhi to tadapi mere pyaar me......... fir is baar kyu mujhe sukoon nhi mila ?? .......kyu koi khusi nhi huyi ???....kyu use aisa laga ki bahut bada paap ho gya ...........ek maa ka bharosa tod diya maine.......ek mandir ko maila kar diya maine........” Abhi ke man me uthal puthal machi thi..
Un chand mahino ne bahut kuchh badal diya tha abhi ke andar................use muhabbat ho gayi thi..............kisi ke bholepan se, kisi ki masoomiyat se.......... "Kisi ek ki Bewafayi ki sajaa har Ba-wafa ko kyo ?????” Is sawal ne Abhi ke soye huye zameer ko jaga diya tha.......uske dil me uthate is toofan ne hi use aaj is dahleez par wapas laa diya tha..........uska purana ghar, uska apna ghar..
“pahchana mujhe ?????? ........Abhimanyu ...........Abhimayu Rajveer Singh........aapka sautela .........” beta kaha nhi abhimanyu ne....samne bed par ek aurat leti thi...uski sauteli maa ! .
“ huh......kya mila aapko ??? aapne mere papa ko maara jo aapko jaan se jyada chahte the.......aur dekhiye jiske liye maara usne aapki ye halat kar di....janti hain?? .....aapka accident hua nhi, karwaya gya........nhi-nhi..........maine nhi karwaya.........aapke naye pati ne karwaya...........mai itni aasan maut na deta aapko............maine to aapko bachaya .......ye soch kar ki jab aap thik ho jayengi to aapko maut se bhi badtar sajaa dunga.......haan aapko bachane wala wo driver mera hi aadmi tha jo saaye ki tara aapke pichhe laga rahta tha.” abhi ke dil ka sara gubaar bahar aa rha tha aaj aur pattiyon me jakdai huyi wo aurat aankh faade, bebas si use dekh rhi thi.
“ aapko nhi marunga ab........ kya maru ??.....aap par to taras aa rha hai............doctor se baat huyi hai meri...aap kabhi khadi nhi ho payengi ab.......aapka ek pair katna padega ...........aur haan, zindagi ke din bahut jyada nhi hain aapke paas........stomach cancer hai aapko........jyada se jyada ek ya dedh saal.........”
“Ek baat aur bta du............mai kismat wala tha ki waqt rahte muhabbat bhare hatho ne tham liya mujhe aur meri aankhe khul gayi.......lekin aap bahut badkismat hain jise na pati ka pyar mila na aulad ka sukh.........”
Ek vijayi muskaan thi Abhi ke hotho par....ek nazar us aurat par dali aur mud gya......wo aurat kuchh bolna chah rhi thi lekin bol nhi paa rhi thi........laachari se dekh rhi thi aur aankho se aansu bah rhe the.
Darwaze se kuchh andar hi thithak gya Abhi......
“aur haan...aapke ilaaz ka kharch de diya hai maine aur aapki is haalat aur mere papa ke maut ke jimmedar , aapke us naye pati ko sajaa bhi de di hai maine.....” Abhi ne itna kahaa aur bahar nikal gya .
Abhi ko gaye ek sal beet gya tha......fir se sawan aaya tha.....lekin fir se khusiyaa nhi laya tha........
Nandita aur suman ki zindagi har gujarte saawan ke sath thodi aur udaas ho jati thi ......is baar bhi aisa hi hua tha....
“maine tumhe maaf kar diya Abhi ........laut aao............ tum jaise bhi ho, mere ho..........plzzz laut aao ‘mere saawan’ ”.................. suman baramde me baithi hari hari ghaso par girti sawan ki pahli barish ki nanhi bundo ko dekh rhi thi ...
yadon ki badli ki ek ghanghor barish uske man me bhi ho rhi thi... saawan ke sath sath uski aankhe bhi baras rhi thi.....apne sar ko apni godi me chhupaye wo jar jar rone lagi.
“ suman wo kitchen me..............” Nandita bahar aate huye itna hi bol payi thi ki uski naza bahar lawn ki or chali gayi......main gate se kuchh hi kadam andar khada tha wo.....Abhi !!! ”
“Sumannnn !! dekh tera SAAWAN laut aaya.........” Nandita ki aankhe bhi barasne laga...
Suman ne sar uthaya ........ek pal ko aankho par yakeen nhi hua........aur fir deewani ki tarah daudati huyi Abhi ke seene se lag gayi..........Abhi ne use apni baho me bheench liya......lab khamosh the aur aankhe bol rhi thi...... aankho ke barasate sawaan se wo ekdusre ko bhigo rahe the.
Har taraf is khusgawar saawan ki jhadi lagi huyi thi.... Aaj barso baad is bagiyaa me - - - SAAWAN laut aaya tha.
Comments
Post a Comment